Khujli jild ki bemari ki alamat hai jiska tajurba taqreeban ham sab ny zindagi k kisi na kisi hissy main kiya hua hai. Is k bawajood bhe khujli ko kisi dusry fard k samnay bayan karna intehai mushkil hota hai. Khujli ki alamaat mukhtalif hoti hain, albatta ye jild par jalan, or bechaini ka sabab banti hai. Aksar sardiyon main hum jisam ki zaroorat k mutabiq paani ka istemal nhe karty or garam cheezain khaty hain or garam kapry pehanty hain. Pani ki is kami ki wajah sy hamara khoon gaarha ho jaata hai jo jild ki allergy, khujli ka sabab banta hai.