List Headline Image
Updated by Sarfaraz Mohammed on Jul 07, 2019
 REPORT
9 items   1 followers   0 votes   86 views

Blogging Dunia

This website is for new bloggers who are keen to write and share their thoughts. Sharing article can also turn into earning, if you write high quality content with proper SEO.

Blogging start kaise kare – 2019 | Complete guide in hindi - Blogging Dunia

Blog ek website jaisa hota hai jahan par hum kisi topic ke upar post likhte hain aur logon mein publish karte hai. Hum iske zariye apne thoughts ko dunia ke saamne la sakte hai. Isko hum ek public diary/ journal ki tarah istemaal karte hain. Jab blog post publish ho jata hai to log internet ke zariye se hamare post par aate hai aur use pad kar faeda uthate hain. Agar woh chahe to har post ke upar apna comments bhi daal kar bata sakte hai ki unko aapka article kaisa laga. Blog shabd do shabdon se bana hai “Web” aur “Log”. Blog likhna aur use maintain karna hi Blogging kehlata hai aur Jo insaan blog likhta hai use hum Blogger kehte hain. Blog Post woh article ya writing hai jo blog ke liye likhi jaati hai. Blogging ka future bahut bright hai. Isliye agar aap dekhe to India me kafi Bloggers hai jinhon ne job chod kar Blogging ko importance diya aur mahine me lakho rupya kama rahe hain jaise Mr Amit Agarwal, Mr Harsh Agarwal, Shivya Nath, Amit Bhawani, etc.

Web Hosting kya hota hai | Which Hosting to buy as a beginner – 2019 (Hindi) - Blogging Dunia

Kya aap blog ya website banana ka soch rahe hain?

Tab to aapko Domain name aur web hosting ke bare mein jaanna bahut zaruri hai. Web hosting ek aisi service hai jo aapke banaye huye blog ya website ko duniye ke saamne laati hai taaki log aapke blog ya site ko internet par dekh sake ya pad sake. Bahut saari web hosting companies hain jo Web servers (High speed computer) par aapke blog ya site ke liye web space deti hai. Aapka site is web space par store ho jata hai aur public ke liye all time live bana rehta hai taaki jab kabhi bhi koi log internet ke zariye se aapke blog ya site par ana chahe to bina kisi problem ke araam se us web server se connect kar sake. To iska matlab bina web hosting ke aapka blog ya site public tak nahi pahuch sakta. Logon tak pahuchane ke liye sab se pehle aapko apne blog ya site ke liye domain name choose karna padega, usko kharidne ke baad aapko web hosting ki service leni padegi tabh ja kar aapka blog ya site logon ke saamne live ho sake. Agar aapko sab se best free web hosting chahiye to behtar hai aap blogger par apna blog banaye kyunki blogger aapko lifetime ke liye free web hosting deti hai jo 100% secure aur best hoti hai. Website down hone ka koi darr nahi hota aur aapki website SSL secure bhi free mein ho jati hai.

Agar aap paid service wali hosting ke liye jana chahte hai to shared web hosting ek new blogger ke liye best hoti hai. Main ummeed karta hoon ki aapko yeh mera article bahut pasand aya hoga aur pata chala hoga ki web hosting kya hota hai, kitne types ka hota hai aur ek beginner ko kaisa hosting buy karna chahiye.

Off-Page SEO Techniques - 2019 | Create High Quality Backlinks (Hindi) - Blogging Dunia

Jaisa ki aap jaante hain ki Off-Page SEO, article likhte ke baad kiya jata hai. To hume hamesha blog likhne ke baad kuch aisa kaam karna padta hai jisse hamara poora ka poora Blog/Website Search Engine Result Page me accha rank karne lagta hai. Main aapko is article me Off-Page SEO ke woh saare techniques batane wala hoon jise follow karke aap apne Blog/Website ka backlinks bana sakte hai aur apne site ki traffic increase kar sakte hain. Main umeed karta hoon ki aapko yeh mera article bahut pasand aya hoga aur pata chala hoga ki Off-Page SEO Techniques kya kya hai, High Quality Backlinks kaise aur kahan banate hain, wagaira wagaira. Agar aap mere is article ko acche se samjhe aur related links ko bhi pade to aap apne blog site ki bahut acchi ranking kar sakte hain aur dher sara paisa bhi kama sakte hain.

SEO kya hota hai | Types of SEO in Hindi (Full Explaination) - Blogging Dunia

Kya aap ek Blogger hain? Agar haan, to aapko SEO ke bare me jaanna bahut zaruri hai. Aajkal bahut saare log Blogging start karte hai taaki woh apni thoughts aur knowledge ko zyada se zyada logon mein share kar sake. Magar aksar dekha jata hai ki woh kuch samay ke baad Blogging field chod dete hain kyunki unko SEO ka koi knowledge nahi hota aur jis wajah se unki Blog zyada se zyada logon tak reach nahi kar pati. Agar aapke Blog post par kuch khaas traffic nahi aata to Blogging karne ka koi faeda nahi aur na aap usse kuch paise kama payenge. SEO ka full form Search Engine Optimization hota hai. SEO ke zariye aap apni Blog ya website ko Search engine result page (SERP) ke high rank par le aa sakte hain.

Off-Page SEO Techniques - 2019 | Create High Quality Backlinks (Hindi) - Blogging Dunia

Jaisa ki aap jaante hain ki Off-Page SEO, article likhte ke baad kiya jata hai. To hume hamesha blog likhne ke baad kuch aisa kaam karna padta hai jisse hamara poora ka poora Blog/Website Search Engine Result Page me accha rank karne lagta hai. Main aapko is article me Off-Page SEO ke woh saare techniques batane wala hoon jise follow karke aap apne Blog/Website ka backlinks bana sakte hai aur apne site ki traffic increase kar sakte hain. Main umeed karta hoon ki aapko yeh mera article bahut pasand aya hoga aur pata chala hoga ki Off-Page SEO Techniques kya kya hai, High Quality Backlinks kaise aur kahan banate hain, wagaira wagaira. Agar aap mere is article ko acche se samjhe aur related links ko bhi pade to aap apne blog site ki bahut acchi ranking kar sakte hain aur dher sara paisa bhi kama sakte hain.

Google Adsense kya hota hai | How to make money with Adsense – 2019 (Hindi) - Blogging Dunia

Agar aap ek blogger hain ya youtuber hain to aapko Google Adsense ke baare mein jaanna bahut zaroori hai kyunki yehi woh jaadui chadi hai jise ghooma kar aap bahut sara paisa kama sakte hain aur apni kismat badal sakte hain. Jaisa ki aap dekh rahe hain ki ‘Google Adsense’ mein ‘Google’ word ka istemaal hua hai, jo yeh batata hai ki yeh ek Google ka product/Service hai, jise istemaal karke hum apne website, blog yah video ko monetize kar sakte hain aur dher sara paisa kama sakte hain. Aapne kaafi time dekha hoga ki website/Blog/Video mein bahut saare vigyapan (advertisement) dikhai de rahe hain. Woh saare advertisement, Google Adsense ke dwara aapke platform par dikhaya jata hai. To iska matlab yeh hua ki Google Adsense ek mediator ka kaam karta hai jo advertisers ko publishers se connect karta hai.
To hum yeh keh sakte hai ki Google Adsense ek advertisement network company hai jo baaki saare ad network companies se best hai. Best isliye hai kyunki ye visitors ko relevant ads dikhati hai aur baaki sabhi ad network companies se zyada pay karti hai. Google ko jitna bhi advertiser se milta hai uska 68% revenue share woh hame (Publisher) dedeta hai aur baki ka 32% khud rakh leta hai.

Domain kya hota hai | How to add custom domain to Blogger – 2019 (Hindi) - Blogging Dunia

aapko domain ki jaankari hona bahut zaruri hai kyunki iske bina aapka blog ya website logon tak nahi pahuch sakta. Isliye aap meri ye article poora padiye taki aapko iski poori jaankari mil jaye aur aap uske baad araam se apni blog ya website bana sake aur logon tak pahucha sake.Jaise agar aap address bar mein meri website address dekhe to usmein jo bloggingdunia.com wala hissa hai use hi hum domain kehte hai aur yehi hamare website address ka khaas hissa hota hai jo hamare site ki identity hai.

Domain ka pehla hissa (before dot) domain name kehlata hai aur last wala hissa (after dot) domain type kehlata hai.
Blog ya website banane se pehle aapko apne blog site ke liye ek unique domain kharidna bahut zaroori hai. Market mein kaafi domain providers available hain jo aapko domain bejte hain. Domain kharidne ke liye aapko simply, domain providers ke site mein jana hoga aur ek unique domain name choose karna padega. Agar woh domain available hua to aap woh domain ko paise de kar register kar sakte hain.
Jab hum blogger me ek blog site banana hai to by default hame apni site ke liye blogger ka sub-domain (Blogspot) diya jata hai jo 100% free hota hai. Lekin aapne jaisa upar pada ki sub-domain wala site jaldi search engine me rank nahi karta aur usse paise bhi kamana thodi mushkil ho jati hai. Isliye behtar yeh hai ki hum ek acchi si top-level domain kharide kisi bhi domain provider se aur usse apne blogger ke saath add karein. Aisa karne se hamara blog/website ek sub-domain (blogspot) se top-level domain (com, org, net, etc) mein convert ho jayega. Matlab aapka blogspot wala site customized ho kar top-level domain ban jayega aur isliye hum ise custom domain kehte hain.

7 Top ways to make money online | Earn from home without investment (Hindi) - Blogging Dunia

Kya aap ghar baithe bina investment ka kamana chahte ho?

Agar haan to aap mera yeh make money online wala article poora pade taaki aapko pata chal jaye ki hum kis tarah se ghar baithe online earn kar sakte hain.

Waise to aapko online earn karne ke kaafi tarike internet par mil jayenge magar sach kaha jaye to unmein se kuch hi aise tarike honge jo sach me paisa dete hai warna baaki sab to scam hi hote hai.Isliye aaj main aapko aise 7 top ways online earning ke bataunga jo 100% genuine hai. Magar batane se pehle yeh zaroor bolna chahunga ki agar aapko sach mein online paise kamana hai to aapko lagatar mehnat (Hardwork in smart way) karna hoga aur saath hi saath thoda sabar (Patience) bhi karna padega.Main ummeed karta hoon ki aapko yeh mera article pasand aya hoga aur pata chala hoga ki hum kaise yeh saare tarike se online money earn kar sakte hain jo 100% genuine aur best hai.

Make money online for free - 2019 | 4 Best ways to earn online – 100% Genuine (Hindi) - Blogging Dunia

Aapne zaroor “make money online” search kiya hoga isliye aaj aap mere is article tak pahuch sake hain. Aajkal waise bhi jitne internet user hain woh ek na ek baar zaroor search karte hai ki “how to make money online” ya “internet par paise kaise kamaye”. Dunia mein kaafi aise log hain jo ghar baithe interent ke zariye se laakhon kamate hai aur bina koi job kiye apni family bhi chalate hain. Agar aap internet par “online paise kaise kamaye” search karenge to aapko bahut saare websites ke link search engine ke result page mein dekhne ko milega jo batayega ki aap ye sab sites se laakho kama sakte hain magar unmein se maximum site fake hoti hai ya to phir kuch dino mein scam ho jati hai. Isliye aage badne se pehle mai chahta hu ki sab se pehle make money online topic se related kuch aise sawaalon ke jawaab de du jise pad kar aap ke mann ke saare doubt clear ho jaye aur aap 100% genuine tarike se online earn kar sake. Online se kamane ke liye paisa invest karna zaroori nahi hai. Hum bina paise invest kiye bhi online kaam karke laakhon kama sakte hain. Magar online kamane ke liye aapke paas ek computer/smarphone aur internet connection hona zaroori hai. Online paise kamane ke kaafi tarike hote hai magar jaisa ki maine aapko upar bataya ki saare tarike trusted nahi hote to aaj main aapko kuch aise khaas tarikon ke bare mein batane ja raha hu jo 100% genuine hai aur jahan se aap unlimited paise kama sakte hain. Dhyaan rakhe paise kamane ka koi shortcut nahi hota chaahe woh online ho ya offline. Har tarah ke kaam mein mehnat lagti hai aur patience ki zazoorat hoti hai. Isliye agar online paisa kamana hai to aapko smartwork ke saath saath patience bhi rakhna padega.